
Suno piyaray...!
Mujhe maalom hai aasaan lagta hai
Tumhain raahain badal lena
Koi bhi moor murr jaana
Kisi manzil ko thokar maar ker waapis chalay aana
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se
Bohat nazdeek lay aana
Mujhe maaloom ha piyaray
Bohat aasan ha tum ko waapis palat jaana
Meri tum be basi dekho
Mujhe tum se muhabbat k siwa kuch nahi aata
Mager iss main bhi kab koi qareena seekh paai main
Ye dekho aankh rona chahti hai
Phir bhi banjar hai
Ye dekho haath kitnay sard hain meray
Ye dekho dil ki dharkan kis terah tarteeb kho ker doobnay ko hai
Ye dekho mera aanchal meray haathon se phisal ker urr gaya kab se
Ye dekho saans ki dori bhi mujh se chootnay ko hai
Meray ehsaas ka resham ulajh ker tootnay ko hai
Mujhe to ye huner bilkul nahi aata
Keh kaisay apnay zakhmon ko chupaatay hain ?
Ya kaisay dard ko dermaan banaatay hain?
No comments:
Post a Comment