Thursday, February 11, 2010


Teri yaadon ka suraj nikalta raha , chand jalta raha

Koie bistar per shabnam lipte huve Khuwab dekha kiye

Koie yaadon mein karwat badlte rahe , chand jalta raha

Meri aankhon mein pyar ki sab saaAtein jaagti hain abhi

Nehar pe tu mere saath chalta raha , chand jalta raha

Main tho ye jaanti hoon jis shab mujhe chhod kar tum gaye

Aasmanon se shole nikalte rahe , chand jalta raha

Raat aie tho kya kya tamashe huve tujh ko malum hai

Teri yaadon ka suraj ubalta raha , chand jalta raha

Raat bhar meri palkon ki dehleez par khuwab girte rahe

Dil tadapta raha haath malta raha , chand jalta raha

Aaj bhi wo taqadus bhari raat mehki huvi hai shama

Koie mujh mein , Kisi mein main dhalti rahi chand jalta raha.

No comments:

Post a Comment